About Us
Crafting Fashion into Legacy
Who We Are
Raahi by SKD ek premium footwear brand hai jo quality, comfort aur timeless style ko ek saath lekar chalta hai.
Hum yeh samajhte hain ke jootay sirf pehnay nahi jaatay — woh har safar ka hissa hotay hain.
Raahi ka matlab hai safar karne wala — aur hum har us shakhs ke liye footwear tayar karte hain jo apni manzil ki taraf bharose ke sath chal raha ho, chahe woh roz-marra ki zindagi ho ya koi khaas mauqa.
Our Craftsmanship
Hum pure aur premium leather, strong finishing aur modern craftsmanship ke sath Peshawari aur traditional footwear ko naye andaaz mein pesh kar rahe hain — jahan comfort mehsoos hota hai aur style nazar aata hai.
We believe in purity and authenticity.
Har jora is liye design kiya jata hai taa-ke aap ke qadam par expensive leather ka ehsaas, durability aur confidence mehsoos ho.
Our Heritage
Raahi by SKD ek passionate creative team ka nateeja hai jo Pakistan mein Haryanvi language content creation ke zariye apni pehchan bana chuki hai, jise Sarwar Ki Duniya (SKD) ke naam se jana jata hai.
Raahi sirf ek footwear brand nahi — yeh creativity, culture aur craftsmanship ka extension hai.
Leadership & Team
Rao Tahseen Sabir
Founder & Director
Rizwan Nasir
Co-Founder
Rao Muzamil Sabir
Social Media Influencer & Brand Face
Raahi by SKD
Crafting Fashion into Legacy